Android Smartphone ke Sensor ki puri jankari

Android Smartphone Sensor in Hindi

Hello friends aaj mai aapke sath ek bahut hi khas type ki bat karne wala hu jo aako jan kar baut maja aayega, aaj is post me bat karunga ki digital Android smartphone me kitne type ke sensors hai or iska kaha kaha or kya kya use hota hai, abhi tak sabse jyada popular operating system android hi hai, or yah sabse jaldi popular ho gaya hai, kai sare operating system aaye lekin Android ke samne ek bhi nahi chal saka, or aaj bhi Android hi users ko pasand hai,

Android Smartphone ke Sensor ki puri jankari


Aaj anroid ka operating system apple ke IOS system ko bhi takkar dene ka dam rakhata hai, or logo ko ab yeh apple se jyada pasand aane laga hai, kyuki Android system me har din kuch na kuch new system aate hi rehti hai jo users ko bahut pasand bhi aati hai , or Android system wale smartphone low Price me available hone ke karan jyada pasand kiya jata hai, or iske karan hi aaj sabse jyada chalne wala OS ban chuka hai,


Har android phone me kuchh ese feature hote hai jisme phone or bhi jyada achha lagta hai, aaj ham is poat me aako batayenge Android phone ke sensors ke bareme, or janenge ki konsa sensor kya kam karta hai smartphone me.

Sensor ek esi chij hai jisme hota to luchh nahi hota lekin iska kam bahut hi badhiya hota hai, yeh hamare phone me ek bahut hi achha performance deta hai or isase hamara phone or bhi useful lagta hai,


Types of Android Mobile Sensors in hindi

1. Light Sensor –
Light sensor phone ki light ko control karta hai, or jab bhi aap kam light me jate ho ya andhera hota hai to aapke phone ki display ki light bhi automatic kam ho jati hai, jisase andhere me aapke eyes ko koi nukasan na pahuche. Or sath hi phne ki battery bhi jyada chalti hai,

Thik usi tarah yeh jab aap jyada light me jate jo tab phone ke display ki light ko tez kar deta hai taki aapko dekhane me koi problem na ho.


2. Proximity Sensor –
Jaisa light sensor hai waisa hi Proximity Sensor hai or yeh bhi phone me light ko control karne ka kam karta hai, lekin yeh light ko kam ya jyada nahi karta hai, yeh lighy ko on ya off kar deta hai,

Jab ham koi bhi number par call karte hai tab aapne dekha hoga ki jaie hi ham apna phone kan ke pas le jate hai turant hi display ki light automatic off ho jati hai or dur karne par automatic on ho jati hai, iska fayada hai ki battery jyada chalti hai or jab call kan ke pas aata hai to kahi bhi touch nahi hota hai pr warna koi bhi menu open ho jata or kuchh bhi bigad sakta hai,

3. Accelerometer –
Accelerometer name ka sensor yeh pata lagata hai ki aapka phone kis or muda huva hai or ye feature aapko video dekhane or game khelne ke liye help karta hai, jab bhi aap apne phone ko turn karenge to display bhi ghum jati hai, yeh sensor screen ko Rotate karne ka kam karta hai.


4. Gyroscope Sensor –
Yeh Gyroscope Sensor bhi Accelerometer ki tarah hi kam karta hai, lekin yeh sensor Accelerometer se jyada powerful hai, Accelerometer aapke phone me sirf display ko rotate karta hai, lekin Gyroscope Sensor pata lagata hai ki aap aage juke huye hai ya pichhe juke huye hai, iska jyada use game khelne ke liye kiya jata hai,


5. Magnetometer –
Magnetometer aaj kal ke sabhi new launched smartphone me diya jata hai, or iski help se ham pata kar sakte hai ki kis side me konsi disha hai,  yeh ek compass ki tarah hi kam karta hai, jab ham jungle me jate hai waha koi signal nahi hota or sab raste bhi ek jaise hi hote hai is position me is sensor ki help se disha ka pata laga sakte hai,


Or sath hi yes sensor metal ko bhi detect karta hai , agar aap apne phone me metal detector ko install karte hai to yeh sensor se aap ek metal detector ka bhi use kar sakte hai.


6. Fingerprint Sensors –
Aaj kam ke har new smartphone me Fingerprint Sensors diya jata hai, lekin thode time pehle yeh sensor sirf highest price wale phone me hi diya jata tha lekin ab sab me diya jaa raha hai, is sensor ki help se aap apne phone ki security badha sakte hai, apni finger ke nishan se apne phone ko lock kar sakte hai , or fir bad me aapke finger ke nishan se hi lock ko open kar sakte hai, yeh bahut secure lock system hai or isko koi bhi tod nahi sakta hai,


7. Thermometer –
Thermometer ko to aap olsabhi jante hi honge, kyuki yeh har doctors ke pas aapko dikh jata hai, lekin hamare Android phone ka Thermometer thoda alag type ka hota hai, yeh aapka bulhar to nahi show karta lekin  aapke dil ki dhadkan ka pata laga sakta hai, sath hi aapko batata hai ki aapki sehat kaisi hai, aaj kal android or ko body ki sehat ko dhyan me rakhate huye banaya jata hai, or yeh sensor sabji phones me aa rahe hai, or aapki health ka bhi khayal rakhenge.


8. Air Humidifier Sensor –
Yeh sensor aaj kal kuchh selected phones me hi available hai or yeh sensor aapko batata hai ki aapke aas pas konsa mausam hai or kitni garmi hai, ya sardi hai, is feature ka jyada use nahi kiya jata isliye yeh kuchh hi phone me available hai, shayad india me to available bhi nahi hai yeh sensor ka phone, agar ki bahar se laya hota to hi yeh feature mil sakta hai,


9. Measure Distance Sensor –
Aaj kal ke kuchh new launched smartphone me yeh feature diya jaa raha hai jisase length or height ka pata lagaya jata hai, or iski help se aap apne room me ek side me khade ho kar pata laga sakte hai ki room ka size kitna hai, yeh sensor ka agar aap sahi use karna jan lete ho to yeh bahut useful hai,


10. Universal Remote Sensor –
Or aakhir me sabse last ka jo sensor hai wo bhi ab new launched phones me aane laga hai, jiski help se ham apne ghar ke ko bhi remote wali device k control kar sakte hai, jaise Television, AC, set top box, or bhi bahut jagah use kar sakte hai, yeh sensor bahut kam ka sabit ho raha hai,


To friends i hope aapko yeh post jarur pasand aaya hoga, hamne is post me alag alag type ke sensor ke bare me bataya, agar aapko yeh post achha laga to friends ke sath share jarur kare, or apne vichar or suggestions ko comment karke bataye, Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.