Delete for everyone features start on whatsapp how to use ?

Hello friends aaj mai fir se aapke liye whatsapp ka ek new feature jo pehle sirf bita testing me available tha wo sabhi users ke liye launch ho gaya hai iske bare me bat karne wala hu ki kaise ham is feature ka use karke send kiya gaya message ko delete kar sakte hai,

Whatsapp users ke liye or ek good news hai, bahut waiting ke bad whatsapp par finally delete for everyone ka feature aa hi gaya,  yeh feature ki bahut din se testing ho rahi thi, whatsapp company ne 1 November se ye feature sabhi whatsapp users ke liye launch kar diya hai, to chali jante hai ki  kaise is feature ka use kare .

Delete for everyone features start on whatsapp how to use ?


Whatsapp ke new delete for everyone feature me users send kuya gaya message ko delete kar sakte hai jo samne wale user ke phone me se bhi delete ho jayega, sabhi users is whatsapp ke feature ko whatsapp ka abhi tak ka sabse best update bata rahe hai,  agar aap koi message ko send karne ke bad bhi delete karna chahate hai to aapko 3 options milenge jisme pehla hoga : delete for me, dusara : cancel, or tisara hoga : delete for everyone, agar aap delete for everyone par click larte hai to whatsapp ke groups or personal me send kiya gaya message sabhi ke liye delete ho jayega,


Image me aap dekh sakte hai ki message delete karne ke bad message delete ho jayega or samne wale ko " this message was deleted" show hoga or hamara message delete ho jayega, agar aapko kahi bhi esa message dikhe to samaj lijiye ki samne wale ne is message ko delete kar diya hai,


Whatsapp ne yeh conform kiya hai ki  users kisi bhi message ko send karne ke bad 7 minutes ke andar delete kar sakte hai,agar aapne message send kiya hai or usko 7 minutes se jyada time ho gaya hai to aap is message ko delete nahi kar sakte hai, is feature me aap ek se jyada message ko bhi delete kar sakte hai lekin sirf 7 minutes ke andar send kiya gaya message hi.


Whatsapp company ne delete for everyone ka feature ko sabhi users ke liye launch kar diya hai, or agar abhi tak ye feature ka update aaoke phone me nahi aaya hai, or aap ek android user hai to aap Google playstore par ja kar aapka whatsapp update kare, fir ye feature aapke pas bhi aa jayega,


Last words
Dosto maine Is post me aapko bataya ki whatsapp ka Delete for everyone feature ko kaise use karte hai, or kaise isko active kare, agar yeh jankari achhi lagi ho to share jarur kare, Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.