Google Assistant ka new feature ! hindi supported


hello friends aaj mai aap ko batane wala hu ki Google Assistant ne apne system me kuchh bahut hi badhiya feature add kiye hai, jo ki hamare liye bahut hi useful hai, or khas karke indian people ke liye bahut hi useful sabit hoga, kyuki isme ab aapko pehle ki tarah sirf english or baki sari language se kam nahi karna padega kyuki ab google ne isme hindi language ko bhi add kar diya hai isliye ham sab google assistant ko hindi bol kar bhi use kar sakenge,

Google Assistant ka new feature ! hindi supported


good news for indian google assistan user

Google Assistant ne apne system me ek feature add kiya hai jisase ham iska hindi me bhi use kar sakenge, kyuki ab google assistant ne hindi ko samajana start kar diya hai, yeh featurev un indian user ke liye hai jisane english use karne me thodi pareshani ho rahi hai, ab un user ko english use karne ki koi jarurat nahi hai, kuiki ab google assistant me hindi supported hai, ab ham google assistant me hindi me bol kar bhi apana kam kar sakenge,


google ne is new update ke sath hi amazon ke laexa or  apple ke siri se bhi ek step aage nikal gaya hai kyuki un dono system me hindi supported nahi hai,


waise kaha jaye to google assistant ko yeh update 2016 me hi mil gaya tha or google ne last month me india jio phone ke liye hindi support wale google assistant ko launch kiya hai,


lekin filhal to google assistant me hindi ka support limited hai, lekin fir bhi aap apne command hindi me de sakte hai,  aapko samne se reaply hindi me ya english mil jayegi,

kuchh jankari se pata chala hai ki google ne abhi hindi google assistant ko launch nahi kiya hai, or filhal yeh support yellow  Messaging app me google assistant ke sath available hai, or google ne ab jahir kar diya hai ki google assistant a kuchh hindi command ko support karega,


google assistant me hindi Languages ko kaise setb kare ?

google assistant me aapki man pasand hindi ke commant ko samajane ke liye user ko android device me primery Languages ke taur par english india ko select  karna hoga,
english india ko primery Languages set karne ke liye yeh step ko follow kar sakte hai,
Settings > Languages & input > Languages > Add a language > English (India)
upar diye gaye step ko follow karke aap english india ko primery Language set kar sakte hai,
Ab aapko apne smartphone me google assistant ko open karna hai or niche ke microphone ko press karke google assistant ko HEY GOOGLE ya OK GOOGLE  ka command dena hai,
maine khud apne phone me google assistant ki hindi command me testing ki hai or sahi sahi chala hai, or ummid hai ki aapke pas jo device hai isme bhi yeh support kare,

GOOGLE ASSISTANT ki kuchh khas baate,

Google assistant ab hindi me bhi puchhe gaye sawalo ko samajata hai

2016 me google ke yellow me hindi support aaya tha lekin alexa or siri me nahi aaya tha,

To dosto maine yaha par google assistant ki kuchh jankri di hai ummid hai ki aapko jarur pasand aayegi , or koi iske bare me sawal hai to aap hamko comment karke puchh sakte hai , thanks for read our post 

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.