Hacking kya hai ? puri jankari hindi me

Hello friends aaj kal hamari duniya me har roj daily internet ka use bahut hi tezi se badh raha hai, iske sath sath duniya ke log iske sahi or galat use kar rahe hai kyuki iske bahut sare feature bhi hai, isme jo bure feature hai usko ham hacking keh sakte hai,

hacking kya hai iski puri jankari hindi me
Digital life ke is yug me laptop, computer or smartphone ka use to sabhi karne lage hai, or jyada se jyada internet ka use in 3 device par hi hota hai, lekin shayad hi aap jante hoge ki koi or user duniya ke koi bhi kone me beth kr aapke website, computer ka all data ko copy, past or delete bhi kar sakta hai, ya fir fb, jaise social platform par se aapki sari privet detail bhi chura sakta hai, or wo bhi ek internet connection se, ji ha dosto ye sab possible hai, or bahut bar esa ho bhi chuka hai, is kam ko ham HACKING kehte hai, or jo user is kam ko anjam deta hai usko Hacker Kaha jata hai, hacking ka use ham sahi or galat dono kam ke liye kar sakte hai, agar aapko bhi hacking ek interesting topic pagta hai to aaj ka ye post aapke liye khas hai, kyuki is post me hacking ke bare me bataya jayega,

What is hacking ? Hacking kya hai ?

Yadi koi bhi user ya hacker dur beth kr aapke computer, scial media profile ya website par kisi kamjori ka fayada utha kar internet ki security ko tod kar usme login karne me safal ho jata hai, to iska matlab hai ki us user ya hacker ne aapke computer , social media profile ya website hack kar liya hai, or jab wo aapke account se login karta hai to uske par sabhi control hote hai, fir wo aapke privet data ke sath kuchh bhi kar sakta hai, ya fir uska miss use kar sakta hai, or in sab ko anjam dene wale user ko ham hacker ke name se jante hai , lekin dhyan rahe ki hacking sirf security ko todne ke liye hi nahi use ki jati hai, security ko strong karne ke liye bhi use kiya jata hai, isliye hackers hamare liye achhe bhi hote hai or bure bhi hote hai,
Waise to hacker bahut types ke hote hai lekin sabse main 3 types ke hacker hote hai iski jankari aaj yaha par aapko milegi,

1. Black hat hacker
2. grey hat hacker
3. white hat hacker

1 . Black hat hacker:

Is type ke hacker kisiki permission ke bina hi internet ki security ko tod kar kisika bhi data hack karta hai, iska pura maksad galat hota hai or wo isko pura karne ke liye hi hacking karte hai,

Ab aap sochte honge ki koi black hat hacker ko is kam se kya fayada hota hoga,  to jaie maine aapko bataya ki uska pura maksad galat hota hai,  jaise hi ye hacker kisika data hack karta hai to wo apne victim (jo hacking ka sikar huye hai wo) se paise mangta hai,

2.Grey hat hacker

Grey hat hacker wovhacker hote hai jiska maksad galat to nahi hota hai,  lekin  practicle ya fir  experiment karne ke liye kisi data ko hack karte hai,iska koi galat maksad na hone ke karan ye white hat hacker me aate hai, lekin kabhi kabhi yeh hacker kisiki permission ke bina bhi uska data hack karte hai isliye grey hat hacker me aate hai jo achha bhi karte hai or bura kam bhi karte haii,

White hat hacker | Ethical hacker :

White hat hacker wo hacker hote hai jo kisi bhi hacking ko permission le kar karte hai, ya koi company me job karte hai, ya fir kisiki help ke liye kanuni tarike se kam karte hai, isko ethical hacker bhi kaha jata hai, aaj kal police, sbi, ib,  jaise sarkari sangathan or IT field wali company or badi badi popular website facebook, twitter, reddit, youtube, paypal jaisi company oryaha tak ki online banking me apni security ko strong karne ke liye bahut sare banks ko bhi white hat hacker ki bahut jarurat hai, jaha par abhi bahut sare white hat hackers achhi income par work kar rahe hai, or yadi aap bhi ek hacker banana chahate ho to white hat hacker (ethical hacker) hi bane,

Ethical hacker-

ethical hacker apne pure kam ko kisi computer website ke malik ki permission se hi hack karta hai, or bad me uski puri report apne malik ko deta hai, sath hi sath us website ya computer ki security strong kar deta hai taki koi or hacker isko hack na kare, isiliye badi badi company apni safety ke liye ethical hacker ko job par rakhati hai, 

Hacking kaise sikhe ?

Hacking itani badi chij bhi nahi hai ki aap isko sikh bhu na sako, or itani chhoti bhi nahi hai ki aap ek din me sab kuchh sikh loge, lekin agar aapko ek successful or best hacking sikhani hai  to aapka hacking me interest hona bahut jaruri hai or isike sath sath computer programing or internet ki knowledge honi chahiye , or yadi aapke pas internet or hacking ki basic jankari hai, or aapko hacking sikhani hai to aap koi bhi institute me course ya diploma kar sakte ho, jaha par aapko ye sari chije sikhai jayegi or ethical hacking me to future mai bhi bahut  scope hai, kyuki IT industry aaj ki date me sabse jyada tezi se badhane wali industry hai, or internet kis tarah se tezi se badhate jaa raha hai wo to ham sab dekh hi rahe hai, yaha tak ki ab to bharat sarkar bhi digital india chahati hai, to isme koi shak nahi hai, ki aage hacking ka scope bahut jyada hai,

Delhi ki best ethical  ki institutes :
1.Byte Code cyber securities
2. .Net hub institute
3.Delhi Institute of Computer Courses
4.V Sit Computer education center
5.. Ankit Fadia Certified Ethical Hacking courses
6.. Kyrion Digital Securities Ethical Hacking Courses
7. Geekslab technologies institute
Yaha par maine hacking ki jakari di hai, agar aapka koi or sawal hai to wo bhi puchh sakte ho, ham aapki help karne ke liye ready hai,

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.