Smartphone ko secure kaise banaye, how to protect your mobile ?

Aaj ke time me sabhi log Android mobile ka use karte hai or aa or mai bhi smartphone ka hi use jyada karte hai, kyuki aaj ke time ka smartphone computer jaisa ban gaya hai, isme sab kuchh kar sakte hai jo ham computer me karte hai,

Aaj kal sabhi mobile users apna sara jaruri or private data ko apne mobile me hi save karke rakhate hai, lekin kabhi kabhi hamara smartphone hack ho jane ka dar lagta hai,
Kyuki ab hamara mobile sirf ek simple smartphone nahi raha hai, ek bahut hi jaruri part ban gaya hai hamari life ka,

Smartphone ko secure kaise banaye, how to protect your mobile ?


To chalo aaj mai kuchh tips batata hu jiski help se aap apne smartphone ko secure bana salte ho, or hack hone se bacha sakte hai,

Smartphone ko secure kaise rakhe ?

Mai yaha par smartphone ko safe rakhane ka 5 tips bata raha hu, jisko follow karke aap apne mobile ko secure bana sakte hai,

1.Dont use harmful apps

Shayad aapko pata nahi hoga ki kuchh application hamare mobile ka data chori karte hai or uske developer ke pas hamara data pahuch jata hai, i type ke bahut sare application or games market me available ho chuke hai, jisko khud hackers hacking karne ke liye design karte hai, lekin hamko is baat ka jara sa bhi andaja nahi hota hai, or ham hacking ke shikar ban jate hai, isliye third party apps se jitana ho sake utana dur raho, sirf playstore se download kare,

2.Install apps only playstore:

Kabhi kabhi users Google playstore ka use nahi karte hai or third party website se apps ko download kark install karte hai , iske bahut se reason ho sakte hai jaise ki playstore open na hona, login na hona, ya fir koi apps hamre playstore par nahi milta us time ham bahar ki site par apps ko search karte hai or download karte hai , lekin yeh bilkul galat hai, kyuki jab ham koi third party site se apps ko download karte hai, to uske sath sath hamare phone me bahut sare virus or malware aa sakte hai, or bahut jyada bada virus aane se aapka phne hamesha ke liye off bhi ho sakta hai, isliye mai suggest karunga ki agar aapko safe rehna hai to  sirf playstore ke apps ka hi use kare,

3.Don't save password in your browser

Agar aapke pas ek smartphone hai to jahir si baat hai ki aap internet me bahut si sites ko use karte honge or un sab me aapka account bhi hoga,
Or aap sabhi site ko bar bar open karte hai to usme login na karna pade isliye ham hamare browser me wo password save kar lete hai, or bar bar login karne se bachate hai, lekin esa karne se aapka password chori ho sakta hai, kyuki jab aap apne browser me password ko save karte hai tab wo password aapke browser me hi save ho jata hai, or koi bhi aapke mobile se wo password nikal sakta hai, isliye bar bar login karne ki aadat banaye or save password rakhane ki aadat ko dur kare.

4.Use face lock :

Aaj ke time me dekha jaye to sabhi ke pas smartphone hota hai, isliye agar aapko apne mobile ke data ko safe rakhana hai to aapko ek secure  password jaise ki face lock ka use karna hai, agar aapke phone me pehle se hi face lock ka system hai to usko jse lare or agar nahi hai to aap playstore me se koi best face lock install karke use kar sakte hai, jisase aapka data secure rahega,

5.use Long and strong password :

Smartphone users time to time fast hote jaa rahe hai or isliye kabhi kabhi ham apni mobile ki screen ko fast open karne ke liye koi easy sa password ko set karte hai jaise ki 12345678 or 11111,22222,3333  jaise bahut se easy password set karke rakhate hai, or iski wajah se koi bhi hacker aasani se aapke phone ko hack kar sakta hai or sabhi data chori kar sakta hai, isliye mai aapko suggest karunga ki jitana ho sake utana long and strong password ka use kare, taki koi aapke data ko access na kar paye,

Upar ki 5 tips ko use ksrke aap apne smartphone ke data ko safe rakh sakte hai, or sabhi documents ko secure bana sakte ho, agar meri jankari aapko achhi lagi hai to please aapke friends ke sath share kare or hamari chhoti si help kare, Thanks

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.