Strong password select kaise kare ?


Password bar bar change kyu kare ?

Dosto kya aap social media ka bahut hi jyada use karte hai or sabhi jagah ek hi password use karte hai to aap khatare me ho, kyuki aapko sabhi social media platform par alag alag password rakhana chaiye kyuki aaj kal hacking bahut hi badh raha hai, isliye aapko bhi safe rehne ke liye ek secure password rakhana hai or usko bhi time to time change karte rehna hai,

Aaj kal syber crime ko dekhate huye ham or aapke liye yeh kafi jaruri  bhi ho jata hai ki time to time par ham apna password change karte rahe,

Strong password select kaise kare ?


Apni private information ki sefty or hacking se bachane ke liye ham without puri jakari le hi koi bhi password set karke rakhate hai, or hamko yeh bhi nahi pata hota hai ki ham jo password set kar rahe hai wo kitana safe hai ya fir bilkul safe nahi hai,

Agar aap baar baar password change karte hai to bhi aap safe nahi hai, kyuki jab aap har baar koi password set karte ho wo pira secure nahi hota hai, par aap safe nahi rehte hai, or agar aap apna password bilkul bhi change nahi karte hai to bhi aap safe nahi hai,  aapka bar bar password change karne ki aadat aapko kabhi kabhi bahut hi badi pareshani me dal sakti hai,
To chalo jante hai iske bare me full detail se

Password change kyu kare :

Apne password ko change karke aap un sabhi hackers ko rokane ka kam karte hai jo aapki sari jankari hack kar sakta hai, jisase aapko bahut pareshani ho sakti hai,

Aapki jankari ke liye bata raha hu ki aapki information sirf tab tak hi safe hai jab tak aap apna password change nahi kar lete, agar aapka password kisine hack kar liya hai to hacker sirf wahi password ka use kar sakta hai, lekin agar aapne apna password change kar diya hoga to hacker aapke data ko kabhi bhi hack nahi kar sakte hai,

Duniya ke bade bade hacker aapka password kuchh hi steps me hack kar sakte hai, isliye aapko koi bhi password set karte time bataya jata hai ki sabse best or strong password set kare,

Strong password kaisa hona chahiye ?

Yaha par kuchh tarike bataye gaye hai jisko follow karke aap apne password ko or bhi strong bana sakte hai, jisko hack karna muskil hoga,

1.letters or Numbers :

Ek badhiya pr strong password creat karne ke liye apne password me letters or number dono ka use kare,

2. Use Uppercase and lowercase :

Apne password me uppercase and lowercase dono ka use karna chahiye.

3. Special character ka use kare :

Aapke password me koi special character jarur hona chahiye jisase yah password or bhi strong ban jaye or isko koi bhi aasani se hack nahi kar sakta hai,

4. Use large character :

Minimum 12 character
Apne koi bhi password ko 12 character se chhota na rakhe, or isase bada hi password set kare,
Agar aap mere bataye gaye steps ko follow karenge to aapka password hack karna bahut hi hard ho jayega. Or aap puri tarah se safe rahenge.

Password change kyu karna padta hai ?

Kuchh time ke liye ek hi password rakhana buri bat nahi hai, lekin agar koi aapke bank ki jakari pata kar leta hai, ya fir kabhi aapko apna password kisiko dena pade us condition me aapko khatar ho sakta hai, ya fir koi aapke password ki jasusi kar raha hai to aapko apna password change karna padta hai, or ek new or bhi strong password creat kare jisme letters or number ka use kiya gaya ho, taki koi aapka password pata na kar sake.

  • Isko kabhi bhi password na banaye.
  • (1) apne khud kevya ghar ke koi bhi mobile number ko apne password ke roop me use naa kare.

  • (2) apne ghar ke member ke name ya apne surname par bhi password na creat kare.

  • (3) simple number jaise ki [12345] ya [ABCDE] ya [UVWXYZ] Jaise password na banaye.

  • (4) agar birth date ko password banane ki soch rahe ho to dhyan rahe ki usme kuchh letters or numbers bhi use kare taki kisiko hack karne ka mauka na mile.

  • Yaha par maine kuchh ese password diye hai jo ki puri duniya me sabse simple passwords mane jate hai, agar aapne bhi isme se koi password set kiya hai to abhi turant hi change kar lijiye kyuki isme aapka data hack hone ka sabse jyada khatara hai ya fir aapka data hack ho chuka hai.

Top 10 common passwords in the world.

  •   (1) 123456 
  •   (2) password 
  •   (3) 12345 
  •   (4) 12345678 
  •   (5) qwerty 
  •   (6) 123456789 
  •   (7) 1234 Up 9
  •   (8) baseball 
  •   (9) dragon 
  • (10) football

Is post me maine bataya hai ki kaise ham apna password strong rakhe or hacking se bache, I hope aapko mere dwara share ki gayi jankari pasand aayi hogi or kuchh new jankari bhi mili hogi  to dosto share karna to banta hi hai, or koi sawal hai to comment karna bhi banta hai, Thanks

1 Comments

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.