Google me website ko rank kare ? How to get on top of google search

Google search me top par aana hai to ye trick try kare ??

Aaj bahut sare user internet par aate hi rehte hai or kuchh na kuchh to search karte hi hoge, or aapne bhi kabhi to google par kuchh to search kiya hi hoga, or aapko apna jawab bhi mil gaya hoga.

Google me website ko rank kare ? How to get on top of google search




Lekin kya aapko pata hai ki aapka jawab aapko aasani se kaise mil jata hai, or google sahi jawab ko hi top search me kyu show karta hai, agar nahi pata hai to hamaripost ko puri padhe, aapko sabhi tarah ki jankari mil jayegi,

Google ke top search me to har koi user aana chahata hai , apni company, website, ya fir koi or jankari google search ke top rank me lane ke liye users bahut try karte hai lekin fir bhi unko achha result nahi mil pata hai, iska reson hai ki hamara jo content hota hai wo sahi nahi hota hai.

Google ranking process ko algorithm kehte hai, jiska use google hamari website ya blog ko top par lane ke liye use karta hai,

Chaliye jante hai ki kaisa hai google ka algorithm process or kaise google search me top par aaya ja sakta hai, or kaise deta hai google ranking ??
Google ne hal hi me kuchh time pehle apna algorithm process change kiya hai, ab is new process ke hisab se google par sabse top par sirf wahi post aati hai jo sabse jyada read ki jati ho,or sabse jyada search kiya gaya ho wahi post top par rank karti hai, google ke is new algorithm ke karan google search ke top me aana thoda hard hai, ab google ke firt page me top search me aane ke liye aapke article/post me 4 chije main honi hi chahiye tabhi aapka post search me top rank karega. or ye sab top rank karn ke liye bahut jaruri bhi hai,

1.Click :
Ek sath bahut sari website or post ke bich me ranking ke liye google sabse pehle click dekhata hai, means ki jo bhi website ya blog par sabse jyada click aate honge us website ko google jaldi rank karega, agar koi website jyada click ki wajah se top rank par thi lekin dhire dhire wo websitr par click ke number kam hote jate hai to wo website ki rank bhi gir jati hai, or 3-4 page par chali jati hai, or jyada click wali website or post top psr show hoti hai,

2.Bounce rate :
Googlevka new algorithm me sabse jyada important chijo me se ek bounce rate bhi hai, bounce rate ka matlab hota hai ki users aapne website or post par jaye pr fir se google search par wapas jaye, or agar bahut sare users aapki site par open karke fir wapas back jate hai to google ke new algorithm ko lagega ki ye content read karne layak nahi hai, or fir google wo post ki rank ko down karta hai,

3.Average time :
Aapki website ya blog ki koi bhi link par koi bhi users click karne ke bad kitna time wo aapki site par rehta hai, or kitne time me return ho jata hai, jitna jyada time user aapke content par tike rehte hai utni hi best rank google aapko dega, Google rank me top par aane ke liye click ke sath sath visitors ke time ka bhi bahut khayal rakha gaya hai, or ye sab thik hona hamare liye bahut hi jaruri bhai hai.

4.Traffic source :
Google ke new algorithm me sabse last or important bat hai traffic source, aapke website / blog ke content par traffic kaha se aa raha hai ye bahut important hai, agar user direct , social media or google search ke jariye aapke content tak aata hai to gogle aapko achhi rank dega, pr agar aapke content par aane ke traffic ke source limited hai to aapka content last page me chala jayega or 6-7 ya fir unse bhi niche ke page par chala jayega,

Last words:
To friends kaisi lagi aapko meri jankari comment karke jarur bataye, or agar koi sawal hai to wo bhi comment karke puchh sakte ho, or is post ko apne friends ke sath share bhi kare, Thank you.

7 Comments

  1. Nice information
    Also visit on
    www.techmeblog.com

    ReplyDelete
  2. nice information bro
    https://www.studyphile.info/

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  4. What do you mean if we click on our post will google rank it ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jyada traftraffic matlab jy click yahi sochta hai google

      Delete
Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.