What is WiFi kreak attack in hindi | WiFi hack hone se kaise bachaye

Wifi use karna user ke liye safe nahi hai.


Hello friends, mai aaj aapse wifi network ke bare me kuchh bat karne wala hu jo aapko bahut useful hone wali hai, bahut bar ham apne mobile ya fir computer (laptop) me internet ka use karne ke liye wifi network ka use karte hai,

What is WiFi kreak attack in hindi | WiFi hack hone se kaise bachaye


Lekin kya aapko pata hai ki aap jo WiFi ka use kar rahe ho wo kitna safe hai, to aap kahenge ki hamne wifi me strong password lagaya hai or hamare siva or koi isma use nahi kar sakta, to aap galat hai, lekin me yaha internet data use karne ki bat nahi karne wala hu , lekin aap jo WiFi use kar rahe ho wo secure nahi hai, or koi bhi hacker aapke WiFi se connected device ka sabhi data jaise email, password, username, bank details, or bahut kuchh hack kar sakta hai,

Ham sabhi WiFi ka use to karte hi hai, lekin kya aapko pata hai ki WiFi ka encryption protocol WPA 2 puri tarag se secure ya safe nahi hai, jab aap apne WiFi se connected rahte hai tab aapke WiFi par cyber attack ho sakta hai, or aapka data koi galat use karne wala hacker chori kar sakta hai,

Kuchh bade bade researchers ke anusar yah Hypersensitivity ek creack hai jo WPA 2 WIFI security ko unsafe bana deta hai, or iske mutabik yeh kreak aapke system par attack karta hai,

Kreak 4-way authorization me third step ko target karta hai, jab aapka devise WiFi se connected rehta hai, or is third step ke dauran encryption key kai bar bheji jaa sakti hai, or iske bad attacker transmissions ko kai tarike se reply karte huye WiFi security encryption ko tod sakta hai,

Aaj kal koi bhi device is attack ka target ban sakta hai, lekin kuchh device me iska khatara kuchh jyada hi rehta hai,

Jab hamara device WiFi se connected rehta hai tab attackers network par send kiye gaye or recive hone wale all data ko chuta kar ek copy taiyar kar lete hai, or isme hamara bahut useful data bhi ho sakta hai jaise ki credit card number, password, email, chat messages, photo or bhi bahut kuchh.. Jankari hackers hamare pas se chori kar sakta hai,

Is kreak se kaise bache ?


WiFi kreak ki is problem se bachane ka yahi tarika hai ki aap apne device ko up to date rakhe.

Researchers ke mutabik is emplimention ko backword Compact manor dwara roka jaa sakta hai
Isa matlab hai ki isase security ke liye aap apne device ko up to date kar sakte ho, lekin koi hardware jo unlatched hai wo attack ka target ban sakta hai, or jab tak is WiFi ki security ka koi best tarika nahi mil kata tab tak aap WiFi ka use kam se kam kare or ho sake to kariye hi mat. Or internet ke liye wire wale internet connection ka use kare

Konse device ko kreak se jyada khatara hai ?

Hamare koi bhi device se data chpri to ho sakta hai isliye har device ko iska khatara hai, lekin android device ko sabse jyada khatara hai,android 6.0 marshmallow or iske bad ke versions ko khatara jyada hai. Apple ne ek statement relece kiya hai ki ios ,watch ios, Mac OS, tv os beta update me WiFi kreak ke liye security aa gai hai, Microsoft ne bhi Windows 10 ko is kreak se dur rakhane ki kosis ki hai, or is par kam chal raha hai.

Last words

Dosto agar aap bhi apna sensitive kam WiFi use karke kar rahe hai to thoda kam kare or jyada security wale network ka use kare, or agar or koi sawal hai to comment karke puchh sakte ho, is post ko jyada se jyada share karke sabhi ko is kreak ke bare me batado. Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.