What is Artificial Intelligence (AI) in hindi ?

Hello dosto aapko bahut baar Artificial Intelligence (AI) ke baare me kai jagah par sawal creat hote hai or Artificial Intelligence (AI) kya hai ye bhi nahi pata hai to post ko pura padhe aapko sab pata chal jayega,

What is Artificial Intelligence (AI) ?

Dosto yeh ek term computer science and technology se related hai or jo robots or automatic machines kam karte hai wo sab Artificial Intelligence (AI) ki help se kam karte hai , dosto aapko simple way se bataye to artificial word ka meaning hai human ke dwara banaya gaya, or intelligence ka meaning hai budhhi yani ki brain power. Yani ki  Artificial Intelligence (AI) me apne aap me ek thinking power hota hai jo automatic kuch na kuchh naya sochata hai pr creat karta hai,
Yeh jo Artificial Intelligence (AI) ki power hai wo ham humans ke andar pehle se hoti hai or baad me automatic badhata hai, ham sabhi hamari life me daily kuch na kuch naya sikhate hai or fir kuch sochate hai or kuchh creat bhi karte hai,
Humans ke jaise hi robots me  bhi Artificial Intelligence (AI) develop karaya jaata hai  jisko ham 
Artificial Intelligence (AI) kahate hai,

What is Artificial Intelligence (AI) in hindi ?

Artificial Intelligence (AI) a big topic

Ab to Artificil Intelligence (AI) ek bahut bada topic ho gaya hai kyuki is par bahut sare research ho rahe hai, aapne robot movie to dekhi hogi, ye movie me robot me Artificial Intelligence (AI) system dala gaya tha,

Ab aapke man me bahut sare sawal aate honge ki
Artificial Intelligence (AI) system se future me kya kya hone wala hai ?
Artificial Intelligence (AI) ka future achha hoga ya bura ?
Dosto Artificial Intelligence (AI) ek esa system hai jo apne aap automatic creat ho jaye ya fir aapke computer ke pas ek real human jaisa brain aa jaye to isko ham Artificial Intelligence (AI) kehte hai,

Artificial Intelligence (AI) koi ek tarah ka system nahi hai balki yeh bahut saare different ways me use hota hai, bahut sare Artificial Intelligence (AI) ko ham pehle se use karte aa rahe hai or kuch new features jo ki future me aayenge,
To chalo jante hai ki yeh Artificial Intelligence (AI) kitane type ke hote hai ?

Types of Artificial Intelligence (AI)


Dosto Artificial Intelligence (AI) ko total 3 section me devide kiya jata hai jo niche bataya gaya hai
1. Weak Artificial Intelligence (AI)
2. Strong Artificial Intelligence (AI)
3. Singularity Artificial Intelligence (AI)

#1: Weak Artificial Intelligence (AI)

Friends, agar ham baat kare Weak Artificial Intelligence (AI) ki to isko ham Artificial Narrow Intelligence kahenge, Weak Artificial Intelligence (AI) kuch is tarah ke Intelligence hai jo sirf ek hi specific device me hi sahi tarike se work kar sakta hai,
Example : agar aapka Pc chess game khelta hai to wo chess khelne me expert hai but uske alawa wo weak Artificial Intelligence (AI) kuch pr nahi kar sakta hai, jaise Agar aap amazone ya flipkart jaise shopping sites me jo recommendation aate hai, wo aapke pasand aane wale products aapko show karta hai or isme expert hai lekin ye wala Artificial Intelligence (AI) aapke sath chess nahi khel sakta, to aise Intelligence jo sirf specific area me kam kar sakte hai, usko ham kehte hai Artificial Narrow Intelligence (AI), ya fir weak Artificial Intelligence (AI)

Dosto ab aapko samaj me aa gaya hoga ki weak Artificial Intelligence (AI) kya hota hai , kaise kam karta hai , or yeh kyu ek hi device me ek type ka kam hi sahi tarike se kar sakte hai,

#2: Strong Artificial Intelligence (AI)

Friends agar ham baat kare humans ke brain ki to yeh bahut complicated hai, har ek humans ke pas bahut hi jyada common sense hai ya fir keh sakte hai ki aisi Intelligence hai jo ek machine me shayad nahi aa sakti hai.

Or machine ko humans ke brain jaisa banane ke liye aata hai Strong Artificial Intelligence (AI). Jisko ham Artificial General Intelligence bhi bolte hai,
Dosto Strong Artificial Intelligence (AI) ek  aisa system hai jaha par humans ka brain or Machine ka brain dono hi lagbhag barabar ho jata hai,

Yani ki jo kam ham humans kar sakte hai, jo soch sakte hai, or aisi bahut si common chije hai jo ham insan aaram se kar lete hai, or agar is tarah insan jaisa kam koi robot ya machine kar paye to usko ham kahenge Strong Artificial Intelligence (AI) ya fir Artificial Wide Intelligence.

#3: Singularity Artificial Intelligence (AI)

Dosto, Strong Artificial Intelligence (AI) ka use abhi tak nahi huva hai lekin yeh shayad 2050 tak market me aa jayegi, tab hamko ese robots or ese machine dekhne ko milenge jiska Intelligence lavel insan ke barabar hoga. Or agar aap soch rahe hai ki iske aage kuchh nahi hai to aap galat soch rahe hai, kyuki yeh Artificial Intelligence (AI) hai,  agar ek bar koi machine ya robot ne kuch learn kar liya to usko or improve karta rahega

For Example: agar hamare pas kuchh computers hai to sabhi ko mila kar or best computer banayenge or usko mila kar or best computer baayenge, ese me yeh jo Artificial Intelligence (AI) hai yeh or bhi jyada exponential level tak badhate jayega or ese me ek chij nikal kar aayegi jisko ham kahenge Singularity ya fir Super Artificial Intelligence (AI)

Agar ham General me kahe to Singularity aisi intelligence hai jiske aage insan kuchh bhi nahi hai, means ki agar ek baar yeh insan ke dimag ke lavel me aa gaya to  badhate badhate usase kahi aage nikal jayega,

Friends ese me dekha jaye to yeh bahut achhi baat hai, ham bahut achhe se sab control karenge , new new experiment karenge or hamare pas bahut powerful Robots honge or uski help se ham bahut kuchh kar payenge,

Lekin dosto yeh baat jitani achhi hai utani buri bhi hai, kyuki agar Machine Super Intelligence ho gaya to kya robots hamari baate manenge, is baat ko lekar duniya ke bahut se computer scientists even Bill Gates, or  Allen Musk ne yeh Doubt rakhe hai ki agar machine or insan ke brain yani ki dimag me singularity ho gayi to puri duniya khatare me aa jayegi,

But Agar super intelligence ka time aa gaya or machine insan ke all rules ko sahi sahi follow karne lage to isko ham kahenge Artificial Emotional Intelligence, matlab ki  machine ke pas emotion hoga jisase wo insan ke control me rahenge,

So friends ab to aap khud samaj gaye honge ki Artificial Intelligence (AI) kya hai or aage kaha tak jaa sakta hai, Aap apne vichar comment me de sakte hai, or jankari share bhi kare.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.