Second Hand mobile kharidane se pehle kis baat ka dhyan rakhe ?

Second Hand mobile kharidane se pehle kis baat ka dhyan rakhe ? - hello dosto aaj kam ham sabhi second hand mobile to kharidate hi hai or jyadatar indian users second hand mobile hi use karte hai, lekin ham jyadatar mobile ko ese hi kharid lete hai jyada kuchh dekhe bina hi, or thode hi time me hamara old second hand mobile kharab ho jata hai or fir hamako iska pata chalta hai ki yeh problem to is mobile me starting se hi thi.

Second Hand mobile kharidane se pehle kis baat ka dhyan rakhe


agar aap koi latest phone kharidana chahate hai or aapke pais usko kharidane ke liye jyada paise nahi hai or aap iska koi old use kiya gaya second hand mobile lene ki sochate hai or second hand mobile kharid lete hai taaki aapka shokh bhi pura ho jaye or jyada paise bhi na kharch karna pade.

Second Hand mobile kharidane se pehle kis baat ka dhyan rakhe ?


kya aap jante hai ki aap kuchh chijo ka thoda sa dhyan na rakhake or second hand mobile kharidate hai to wo mobile aapko sasta padne ki bajay or mahenga padega or isme aapka hi nukasan hoga.
to chalo jante hai ki aapko second hand mobile kharidate time konsi baato ka dhyan rakhana chahiye taaki aapko used phone lena ghaate me na jaye.


#1 Second Hand Mobile jyada purana na ho. 


Second hand mobile kharidate time aapko ek baat ka bahut khas dhyan rakhana hai ki aap jo bhi handset buy kar rahe hai wo jyada old na ho, agar jyada old phone hai to usko na kharide warna aapko hi bhari nukasan bharna padega or baad m bahut kharcha karna paega. alag alag mobile me kaam karne ki bhi koi tim limite hoti hai isliye dhyan rahe ki aap jyada old device na kharide,


#2. Second Hand mobile ko check kare.

Second Hand Mobile kharidate time is baat ka dhyan rakhe ki isme koi problem pehle se hi nahi hai na, agar koi problem aapko pehle se hi show hoga to aapko wo mobile nahi kharidana chahiye kyuki agar aap yeh problem wala phone kharidenge to baad mw aapko hi pareshani hogi. isliye mere khayal se jis second hand phone me pehle se koi problem hai to wo aapk nahi kharidana chahiye.


#3. Second hand mobile ki battery check kare.

Agar ap ek second hand mobile kharid rahe hai to isme aapko sabse badi baat uski battery ki rakhani chahiye or mobile kharidne ke time me ek bar old mobile ki battery jarur check kar liya kare taaki agar old mobil ki battery kharab hogi to jyada performance nahi milega or jald hi khatam ho jayegi, agar battery jyada backup nahi deti hai to aapko wo mobile bhi nahi kharidana chahiye.

#4. Second Hand mobile chori ka to nahi hai ?

Agar aap second hand mobile kharidate hai to usme sabse bada khatara hai ki wo mobile kahi se kisine chori kiya ho sakta hai. isliye used mobile kharidane se pehle uske bar me sari jankari nikale, mobile ke box ke sath original bill ki bhi mang kare,

fir bhi agar aap pakka karna chahate hai to aap wo mobile me *#06# dail kare or IMEI number check kare or IMEIDETECTIVE.COM ki website par jaaye or IMEI number daal kar sabhi jankari dekhe ki yeh mobile aakhir kisko becha gaya hai or kab becha gaya hai,


#5. Second Hand Mobile Online kharide tab kya kare ?

Agar aap koi bhi second hand mobile online se kharidana chahate hai to return policy ki jarur jankari le taaki agar aapko mobile pasand nahi aata to aap usko wapas bhi kar sake. iske alawa online site se second hand mobile kharidate time secure payment method ka hi use kare. jaise ki paypal etc.. taaki agar aap mobile wapas karte hai to aapko paise hi wapas mil sake.

#6. Second hand mobile facebook se kharide.

agar aap second hand mobile kharidana chahate hai to aap facebook se bhi kharid sakte hai isliye ek baar facebook se kharidane ka try jarur kare taaki waha par aap koi hi seller ki profile bhi check kar sakt haai, or real kya hai iska jald se jald paa chal sake.


#7. Second Hand Mobile Ki Warranty.

agar possible ho to aap koi bhi seller se second hand mobile phone ko kharidate time us mobile ki kuchh Warranty ki bhi mang kar sakte haim, or agar Warranty mil jaye to maja aa jayega,

#8. second hand me kam se kam 2 GB Ram check kare.

aaj kal ke sabhi phones me hamko 2 GB RAm to mil hi jata hai lekin fir hbhi aap ek second hand mobile kharide tab uski ram jarur check kar le or kam se kam 2 GB ram wala phone lene ki kosis kare taaki aapko aage jaa kar pareshani na ho.

dosto maine aapko yaha par is post me bataya Second Hand mobile kharidane se pehle kis baat ka dhyan rakhe ? . or koi sawal hai is post se related to coment karke puche jarur, or jankari achhi lage to dosto ke sath jare bhi karo yaar.Thank You.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.