Instagram me long video upload kaise kare ?

Hello dosto aaj ke post me ham aapko batayenge Instagram me long video upload kaise kare ? IGTV app me mobile se video upload kaise kare ? IGTV channel kaise banaye ?
SMARTPHONE / Mobile se IGTV me video upload kaise kare ? Website se IGTV me video upload kaise kare ? . agar aap nahi jante ki Instagram me long video kaise upload kare ? To is post ko end tak padhe, sab pata chal jayega,

Instagram me long video upload kaise kare ?
Instagram me long video upload kaise kare ?


Hal me hi IGTV app ko Instagram se bahar kar diya hai, wahi iski starting karne walo ne iske liye contant creat karna start kar diya,
Waise yeh feature sabhi ke liye abhi ke time me new hai, or iske new hone ki wajah se sab ko IGTV app ka use kaise kare ? Wo pata nahi hota hai,

Agar aap is feature ka use karna chahate hai or apne content ko IGTV app .e add karna chahate hai to yeh post aapke liye bahut h helpful hai,

IGTV app ka use Android or IOS dono smartphone me kiya jaa sakta hai, iske alawa aap iska use Instagram ke web version me bhi kar sakte ho,

IGTV app se ham karib 60 minutes ka video upload kar sakte hai, waise 60 minutes ka use bade or verified account hi kar sakte hai, or baaki ke sabhi users 10 minutes ke videos ko upload kar sakte hai,

Agar Instagram me aapka page verified hai or aap 10 minutes se jyada ki video ko upload karna chahate hai to aapko iske liye web ka use karna hoga,

IGTV app me mobile se video upload kaise kare ?

IGTV me video upload karne me liye aapko sabse pehle IGTV channel creat karna hota hai, agar aap nahi jante hai ki IGTV channel kaise banaye ? To niche maine kuchh step diye hai, usko follow kare.
IGTV channel kaise banaye ?

  1. Sabse pehle aapko IGTV app ko download or install karna hai,
  2. Ab IGTV app ko open karke Setting par jaye,
  3. Ab creat channel ke option par click kare.
  4. Yaha aapko IGTV ke basics bataye jayenge.
  5. Iske baad next ka option click karke fir se creat channel par click kare
  6. Sabhi option ko select karne ke baad aapka IGTV channel creat ho jayega,

Ab baari aati hai smartphone se IGTV me video upload kaise kare ? Agar aapko nahi pata hai to post ko pura padhe.

SMARTPHONE / Mobile se IGTV me video upload kaise kare ?

Step 1.
Sabse pehle IGTV ki home screen par click kare or profile icon par apna channel dekhe. Yaha sabse upar aapko plus icon par click karke video upload ka option select karna hai,

Step 2.
Iske baad IGTV aapse kchh permission mangega, jisko allow karne ke baad aap video upload karne ka option select kar sakte hai,
Ek baat ka dhyan rakhe ki IGTV aapko khud video shoot karke upload karne ka option nahi deta hai, aapko pehle se video ready rakhana hai,

Step 3.
Video upload karne ke baad iski jankari add kare. Edit cover ke option se aap video ke cover ko bhi edit kar sakte hai,

Is tarah aap apne smartphone / mobile se IGTV me video upload kar sakte hai,
Ab jante hai ki website se IGTV me video upload kaie kare ?


Website se IGTV me video upload kaise kare ?

Step 1.
Sabse pehle apne instagram ko website me opn kare or apni profile par jaye.

Step 2.
Kuchh detail ke niche IGTV icon par click karne ke baad video uploading ka option select kare.

Step 3.
Apne pasand ka video select kare or upload kare. Or IGTV par sabhi ke sath share kare.

Last words

Doto maine aaj yaha par bataya Instagram me long video upload kaise kare ? IGTV app me mobile se video upload kaise kare ? IGTV channel kaise banaye ?
SMARTPHONE / Mobile se IGTV me video upload kaise kare ? Website se IGTV me video upload kaise kare ? .
Agar aapko IGTV se related koi sawal hai to comment kare. Or jankari achhi lagi ho to share karna mat bhule. Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.