Karbonn K9 Smart Selfie with 8-megapixel front camera launched in India: Price, features

Karbonn K9 smart selfie india me launch ho chuka hai iske bare me aaj ham jankari denge..
Hello friends, aaj mai is post me ek mobile ke bare me bat karne wala hu jo new launch huva hai or iska use me bhi kar raha hu, jiska name hai Karbonn k9 smart selfie.

India ki smartphone nirmata company Karbonn mobile ne india me apna selfie sentric smartphone Karbonn k9 smart selfie launch kar diya hai , jo ki ek baut achhi bat bhai hai ki hamare india ka hi mobile hai, smartphone ki company filhal low price wale mobile pesh kar rahi hai taki jyada se jyada uaer isko kharid sake,

Karbonn K9 Smart Selfie with 8-megapixel front camera launched in India: Price, features


Karbonn k9 ke smart selfie indian price
Karbonn k9 ke smart selfie smartphone bhi hamko India me sirf Rs.4890 me diya ja raha hai, to chalo jante hai kski Price or features ke bare me.

Karbonn K9 smart selfie smartphone me 8 megapixel ka front camera diya gaya hai, yani ki agar aap selfie click karne ke shaukin hai to yeh smartphone aapke liye ek behtar phone ho sakta hai,

Aapki selfie ko best banae ke liye company ne front camera me night short mode or beauty mode bhi add kiya hai, or wahi phone ke rear camera  me LED flash light lagayi gai hai


Karbonn K9 smart selfie handset me 5 inches ki badi FWQVGA screen di gai hai, jo jo 2.5D super touch ke sath aata hai, mobile ki performance ko best rakhane ke liye isme 1.1 Gigahertz quad core professor diya gaya hai, or sath hi me hamko 1 GB ki ram bhi mil rahi hai, or data store karne ke liye 8 GB ki internal storage bhi diya gaya hai, agar hamko phone me jyada storage add karna hai to ham 32 GB tak ka storage add kar sakte hai,


Karbonn k9 smart selfie phone android 7.0 nogut par chalta hai, or is phone me 4G volte support karta hai, or isme 2300 MAH ki damdar battery bhi hai, company ka kehna hai ki yeh phone ki battery 180 hours tak ke standby time or 8 hours 2G par chalegi, pr yeh smartphone 4G voltee support karta hai,

Connectivity ke liye karbonn k9 smart me WiFi, Bluetooth, GPS,FM radio, or micro usb jaise feature diye gaye hai , phone me pehle se ek inbuilt photo editor bhi hai, or video editor bhi hai, sath hi gravity, Proximity or light sensor bhi add kiya gaye hai,


Total mila kar yeh kaha ja sakta hai ki baki company ki tulna me Karbonn ne yeh Price range me kafi achhe features diye hai, or yadi aapko yeh smartphone kharidana hai to aapko yeh 2 colors me mil sakta hai, 1. Variant matte black or 2. Matt Blue.

Last words
Friends is post me maine aaoko Karbonn k9 smart selfie smartphone ke bare me bataya , agar aapko yeh jankari achhi lagi ho to share jarur kare, Or koi sawal hai to comment bhi kare, Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.