GBWhatsapp kya hai ? Or kaise use kare ? GBWhatsapp best features ki jankari.

Hello friends, welcome back,  aaj ham baat karne wale hai GBWhatsapp kya hai ? Or kaise use kare ? GBWhatsapp ki puri jankari. Ke baare me, or GBWhatsapp download kaise kare.

Ek time tha jab ham SMS se Ek dusare ko messages send karte the. Lekin aaj ke time me internet me bahut saari websites or apps hai jo hamko free message send karne ki service provide karti hai, or isme se ek whatsapp bhi hai, aaj ham GBwhatsapp ke baare me baat karenge.


GBWhatsapp kya hai ? Or kaise use kare ? GBWhatsapp best features ki jankari.
GBWhatsapp best features ki jankari.


Whatsapp messaging sabse best hai is baat me koi shak nahi hai lekin is whatsapp me bhi kuchj feature abhi bhi available nahi hai, isliye internet market me is WhatsApp ka bhi ek mode version available kiya gaya hai jiska name GBWhatsapp hai,

GBWhatsapp kya hai ?

GBWhatsapp whatsapp ki jaisi hi ek app hai, ham yeh bhi keh sakte hai ki GBWhatsapp WhatsApp ka update version hai, matlab ki kuchh ese feature jo aapko official WhatsApp me nahi milenge wahi feature aapko GBWhatsapp me free me mil jaate hai, Ham kyu GBWHATSAPP pasand karte hai ? Ye niche bataya hai,

GBWhatsapp ke best Features ki jankari

  1. GBWhatsapp me user kuchh selected user se apna last sean hide kar sakta hai,
  2. GBWhatsapp me kuchh selected logo ki call bhi disabled kar sakte hai.
  3. GBWhatsapp me aap apna message schedule bhi kar sakte hai, or jo time set karenge us time message send ho jayega automatic.
  4. GBWhatsapp me apne hisab se koi bhi best them apply kar sakte hai,   
  5. GBWhatsapp me aap blue tick and double tick ko hide kar sakte hai,
  6. Official WhatsApp ke mukabale GBWhatsapp me jyada emoji available hai,
  7. aap kisi friends ke status ko bhi copy kar sakte hai ya status me dala gaya video download kar sakte hai,
  8. GBWhatsapp me aap ek sath 90 image ko share kar sakte hai,
  9. GBWhatsapp me koi bhi large file ko without compress kiye send kar sakte hai,
  10. GBWhatsapp me aap 250 character type kar sakte hai,
  11. GBWhatsapp ka icone bhi aasani se change kar sakte hai. Or sath hi notification setting ko bhi change kar sakte hai,
  12. Without any loading aap media files ko dekh sakte hai.
  13. GBWhatsapp me ham groups ka broadcast creat kar sakte hai, or ek sath sabhi group me koi bhi message share kar sakte hai,
  14. GBWhatsapp me ek bahut achha feature hai jiska use karke ham delete for everyone kiya gaya message bhi padh sakte hai,
  15. GBWhatsapp me ham lock karke password laga sakte hai,
  16. GBWhatsapp me kuchh selected contact or group ko bhi lock kar sakte hai,
  17. GBWhatsapp me ham sirf ek setting karke apna status 24 hours ke liye online dikha sakte hai, iske liye hamare phone me internet data n hona chahiye.
  18. GBWhatsapp me ham WhatsApp ke andar font ka style change kar sakte hai,
  19. GBWhatsapp ka use karke ham hamare koi ek message ko auto reply set kar sakte hai, jab koi message karega to usko automatic hamara message send ho jayega.
  20. GBWhatsapp me DND Mode use kar skte hai. ( Ishe ON karne ke baad aapke mobile me internet connection on hone par bhi aapko koi bhi message receive nhi hoga aur na hi aap send kar payenge. )
  21. GBWhatsapp ko aap official whatsapp ke sath ek hi mobile me use kar sakte hai,



Kul milakar kaha jaye to aapke WhatsApp par puri tarah se aapka control rahega.
GBWhatsapp ko best moded versions me se ek mana jaata hai, or iska sabse best or khas feature yeh hai ki aap is app ko official WhatsApp ke sath bhi use kar sakte hai,
Waise GBWhatsapp ek moded app hai official version nahi hai isliye yeh aapko google play store par nahi milega.
Isko aap direct google search karke download kar sakte hai,

Last words

So friends yeh thi hamari jankari GBWhatsapp kya hai ? Or kaise use kare ? GBWhatsapp best features ki jankari. I hope aapko achhi lagi hogi. To is post ko social media par share kare or sab ko bataye ki GBWhatsapp kya hai or iske features kya hai ?.

1 Comments

Previous Post Next Post