whatsapp video call ko record kaise kare

Whatsapp ke video call ko record kaise kare ?
Hello whatsap users, aaj mai aapke liye ek bahut achhi or new trick laya hu jisase aap apne friends ke sath video call karte hai usko apne mobile me record kar sakte hai, or aapke khas pal ko apne hi mobile record save karke rakh sakte hai.

whatsapp video call ko record kaise kare


Agar aap whatsapp user hai, to aap jante hi honge ki whatsapp par messaging or voice calling or  sath me hi video calling kbhi kar sakte hai, jab ham apne friends or family ke sath video call karte hai tab us video ko bar bar dekhne ki echha hoti hai, lekin aap is video call ko fir se nahi delh sakte ho, kyuki whatsapp par abhi tak video record karne ka koi feature nahi hai, or koi option bhi nahi hai,


Whatsapp par koi feature se video call record karne ka feature nahi hai lekin fir bhi aap whatsapp ka video call record karna chahate hai to iske liye aapko ek trick ki help leni hogi, is trick se aap apne mobile ke screen ki har activities ko record kar sakte hai, or ese hi isme aapka video call bhi record ho jayega, to chaliye step by step jante hai ki ye sab kaise karna hai,


Step: 1
Sabse pehle aapko apne android phone me whatsapp video call ko record karne ke liye REC. SCREEN RECORDER name ka ek app google playstore se download and installed karna hoga, jo aapke phone me hone wali har activities ko record kar leta hai,
Step: 2
Jab aap is appko download or install kar lete ho to aapko is app ko open karna hai, or jab open karonge to aapke samne kuchh options show honge jaise ki  video size, bit rate, duration, or file name , isko aapne man ke hisab se  set kar lijiye or save kar lijiye,


Step: 3
Ab aab setting sahi karne ke bad aapko record button par click karna hai, jaise hi aap record button par click karte ho to turant aapke pas file, media, folders ko access karne ki permission mangi jayegi, aapko allow karna hai, or aage badhana hai.

Step: 4
Ab aap record start karenge to fir se yeh app aapke phone ki har activity ko capture karne ki permission allow karne ko kahega, to isme bhi aapko ok karke allow karna hai, ab start now par click kare, ab aapke pure phone ki activity is app me record hone lagegi or iska video ban jayega, or agar aap isko cancel karte hai to video save nahi hoga.or yeh app work nahi karega.


Last words
Dosto maine is post me aapko bataya ki whatsapp ke video call ko kaise record kare apne phone me. Agar Aapko yeh jankari achhi lagi hai to comment or share jarur kare. Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.