Android smartphone ki battery ke bare me 6 galat baate

Android smartphone ki battery ke bare me 6 galat baate. Aaj ke post me ham aapko aapke smartphone ki battery ke bare me kuch galat baate batane wale hai jo aapko sahi lagti hai lekin wo galat hai,

Android smartphone ki battery ke bare me 6 galat baate.


Android smartphone ki battery ke bare me 6 galat baate

1. Mobile Bar bar charge karna.


Bar bar Mobile charge karne se mobile par koi farak nahi padta hai, har ek Mobile battery ki life me koi particular cycle hoti hai, or usko cycle ke hisabse se hi charge kiya jata hai, lekin aaj ki sabhi powerful battery's me ek cycle me baut baar charge karne ka power hota hai,

2. Mobile charging ke liye fix temperature.


Ek report ke hisab se lithium-ayan battery's ko 32° F. Se kam ke temperature par charge nahi karna chaiye,

Agar aap low temperature par apne mobile ko jyada baar charge karte hai to battery me anode ke upar lithium-ayan ek type ka cover bana deta hai, jisko baad me remove nahi kar sakte hai, or esa hone par hamare mobile ki battery life kam hoti hai,
3. Mobile charge karne ka time.

Agar aapka smartphone puri tarah se discharge hota hai or fir aap usko charging me lagate hai to aapke phone ki battery life kam ho sakti hai,

Ese me agar phone ki battery 30-40% bach jaye tab aa charging par rakhenge to achha rahega.

4. Dusare charger se mobile charge karna.


New launched smartphone me morden battery packs me safeguard hota hai, jo kud sambhal sakte utna hi power accept karta hai, aap apne mobile me feet ho esa koi bhi mobile charger ka use kar sakte hai, lekin agar aap koi or charger ka use karenge to aapke mobile me quick charging nahi hoga, charging hone me bahut time lag sakta hai,

5. Mobile Overcharging se blast.

Mobile Overcharging karne se battery's par koi farak nahi padta hai or nahi koi nuksan hota hai, lekin fir bhi aapko Mobile Overcharging karne se bachana chahuye,

Aapke smartphone ko achhi tarah se pata hota hai ki mobile ki battery 100% charge ho gai hai, or uske baad aapka mobile battery ko charge nahi karta automatic charging cut ho jata hai, iske liye aapke mobile me ek khas type ki cheap hoti hai, agar aap apna mobile full night charging me rakhate hai to aapka mobile heat kar sakta hai,  or mobile heat kare to battery life kam ho sakti hai.

6. New Phone ka full charging,

Aap me se bahut log esa karte hai ki jab bhi koi new mobile lete hai to usko pehle pura charge karte hai or usle baad pura discharge karte hai, yeh sab bakwas hai, aaj kal ke advance mobile phone me yeh sab check karna jaruri nahi hai, or aap koi bhi time me mobile ka use mar sakte ha.

Dosto yaha par hamne aapko Android smartphone ki battery ke bare me 6 galat baate batai, agar koi baat samaj nahi aati to coment kare or puch sakte hai, dosto agar aap bhi hamari website par aapki jankari share karna chahate hai to kar sakte hai, iske sath aap apna photo bhi laga sakte hai,

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.