Aapka Smartphone Hack Hai ya nahi kaise pata kare ?

Aapka Smartphone Hack Hai ya nahi kaise pata kare ?
Or aaka mobile hack hone se kaise bachaye, mobie hack kaise hota hai ?
Smartphone ki is duniya mai jaha ek taraf mobile company's daily new new features launch karti hai, wahi dusari taraf smartphone ki security ko lekar bahut bada khatara ho gaya hai,

Aapka Smartphone Hack Hai ya nahi kaise pata kare ?
Kyuki aaj hamari ek chhoti si galti se internet ki help se kahi dur baithe hackers hamara smartphone hack kar sakte hai,



Jisme sabse bada nukasan to hamara Private data ka or secret jankari ka hota hai jo ki hamare phone mai save hoti hai,

Lekin agar ham phone hack hone ke turant hi thoda pata laga le or safe rehne ki kosis karenge ho ham smartphone ko hack hone se bacha sakte hai, or hamara bahut bada nukasan nahi hoga.
Or is baat ko target karte huye aaj ham aapki apni website Hindi Ka Hero par Aapka Smartphone Hack Hai ya nahi kaise pata kare ? Is baare mai puri jankari de rahe hai,


Hame ummid hai ki aaj ka yeh article aapke liye bahut helpful sabit hoga. Or aap time rehte koi bhi phone ko hack hone se bacha sakte hai , to chalo dosto aaj kuchh naya sikhate hai,


Smartphone hack hone ke effects kya hai ?

Yaha par ham smartphone hack hone ke jo bhi effects bata rahe hai, in me se koi bhi effects aapke ya koi or ke phone mai dekhne ko milta hai to aapko samaj lena hai ki aapka smartphone hack ho sakta hai ya already hacked hai,

Unknown Apps install hona.


Sabse pehle... yadi aapka smartphone hack hota hai to jab bhi aap internet on karte hai to achanak hi bahut sare ads or popups show hone lagte hai, bekar ke or faltu ke apps install ho jaate hai, to samaj lijiye ki aapka phone hack ho gaya hai,


Smartphone me Ads Show hona.

Jaisa ki ham sab jante hai, smartphone me internet on karte huye kisi app ka use karte time  Ads show hote hai, jisase app developer ki earning hoti hai, lekin aake smartphone mai jarurat se jyada ads show hote hai to aapka smartphone hack ho gaya hai,

Battery life jaldi khatam ho jana.

Yaha hamne upar aapko smartphone hack hone ke jo 2 effects bataye hai, yadi koi bhi smartphone me extra Ads,Apps, installation ki process chalti hai to battery jaldi se low hona aam baat hai,

Smartphone over heat problem

Mobile garam hone ki problem ka reason.
Smartphone hack hone ke time me virus ki wajah se bhi phone ke storage par effect padta hai, jisase phone ki memory automatic full ho jaati hai, or is tarah koi bhi App ko apana kam karne ke liye jaruri space nahi milta hai  or iski wajah se phone ke processor system par jyada load padta hai, or aapka smartphone overheat karta hai,

Internet data n karte hi hamare mobile me bekar ki videos,Apps etc.. Koi bhi type ki downloading start ho jaati hai, or jab bhi aapke phone me automatic downloading hone lage to aapko samaj lena hai ki aapka phone hack ho gaya hai,

Pop-up show

Sabse badi problem tab saamne aati hai jab kisi app par work karte huye time time par new new pop up show hote hai, or jaise hi ham galti se bhi us pop-up par click karte hai to wo hamko koi unknown website par redirect kar deta hai, or agar aapke smartphone me bar bar pop up show hte hai to aapka smartphone hack ho gaya hai,

Or dosto agar aapko upar bataye gaye effects me se koi bhi effects koi bhi smartphone me dekhne ko mile to samaj lijiye ki wo smartphone hack ho chuka hai,

Or ab sawal aata hai ki mobile / smartphone hack hone par kya kare ?
Smartphone hack hone par kya kare, waise to smartphone hack hone par usko thik karna thoda hard hai, lekin kuch bhi karne se pehle niche bataye gaye 2 tarike ko try kare or apana smartphone hacker ke hath me se bacha lijiye.

App Information

Sabse pehle yadi aapke phone me koi bekar ke Apps Install ho gaye hai to isko aapke phone ke App manager open karke uninstall kare or agar wo app uninstall nahi ho raha hai to aapko isko force stop karna hai or disable kar dena hai,

Hard Reset

Jab hamara mobile hack ho jata hai tab hamare pas apane phne ko hard reset karne ke alawa koi or safe or best trick nahi hoti hai, lekin jab aap apane phone ko hard reset karte hai to aapke phone se all data delete ho jayega jaise photos,videos, audio,apps, documents etc... Or agar aapke phone me koi bhi data important hai to aapko sabse pehle aapke important data ko google drive me ya koi or jagah backup le kar rakhe. Or iske baad hard reset kare.

Final words.

Friends hamne yaha par Aapka Smartphone Hack Hai ya nahi kaise pata kare ? Or smartphone hack hone par kya kare ? Wo sab aako detaip me bataya hai, agar jankari samaj me na aaye to aap hamko direct comment kare. Or is jankari ko dosto ke sath share bhi kare,Thank you.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.