Android Vs Iphone : konsa smartphone best hai ?

Aaj kal india ke bazar me bahut sare mobiles mil rahe hai, isme se kuchh android hote hai or kuchh or operating system wale hote hai, jaise ki ios , Windows, Microsoft etc. Lekin kya aapne apne mind me ek sawal creat kiya hai ki aakhir hamare liye konsa phone sahi rahega jo ki hamare liye best phone sabit ho,

Jyada tar log to android or ios ka iphone use kar rahe hai, to aaj ham bhi in dono phones ke bare me hi bat karenge ki android or ios iphone me se konsa achha hai, jab ham bazar me mobile lene ke liye jate hai tab ham bahut hi confuse ho jate hai, kyku ki waha par bahut sare phones dekhane ko milte hai or sabhi phones hamko pasand bhi aa jate hi, dosto waise to android or ios yeh dono system best hi hai lekin dekha jaye to done me kuchh kamiya bhi hai jiske bare me mai aaj bat karunga. To chalo pata lagate hai ki Android vs. IOS konsa phone best rahega,

Android Vs Iphone : konsa smartphone best hai ?


Agar dekha jaye to Android or IOS yeh dono ke phones best hote hai or dono alag alag operating system par chalte hai , isme Android ko google ne develope kiya hai or  IOS ko apple company ne develope kiya hai,
Aapne kabhi socha bhi hai ki Android duniya ka sabse jyada sell hone wala smartphone hone ke bawjud log IOS ka iPhone kyu lene ki soch rahe hai ? ,  jab ki iphone ki price bhi jyada hai, 
  Android or IOS me kya difference hai ? , audience konse smartphone ki diwani hai ?,


Android vs IOS konsa best hai ?

Pehle mai aapko bataunga ki Iphone se best kyu hai Android ?
iPhone Ke Mukable Android Ke Fayde:

1.#Customization:
Agar aapke pas android system wala smartphone hai to aap isko abhi bhi apne hisab se customize kar sakte hai, agar aapko iska default launcher pasand nahi aaya hai to aap isme dusara installed karke set kar sakte hai, or  custom rom ko bhi install kar sakte ho, lekin IOS ke system wale smartphone me aap apne hisab se jyada kuch customize nahi kar sakte hai jab ki android me sab control aapke pas hota hai,


2.#Cheap Price:
IOS system wale smartphone ke mukabale Android smartphone ki price hamko jyada bhati hai kuiki yeh bahut kam hoti hai, jyadatar log iPhone kharidana chaate hai lekin budget na hone ke karan android ko use kar rahe hote hai, me bhi aapko yahi suggest karunga ki agar aapko budget ka problem hai to aap Android hi use kare,


3.#More Free Apps & Games:
Aapne dekha hoga ki google playstore par hamko har ek game or apps free me mil jata hai, or hamko jo bhi chahiye sab ka app hamko android platform par mil hi jati hai, aaj kal to har category ki apps or game bhi available hai , jisme se hako jo achha lagta hai usko install kar lete hai, lekin iPhone me is tarah jyada apps or game available nahi hai jitne android platform par hai,


4.#Variety of DesDesign :
Jab aap android phne ko bazar me kharid ne ke liye jate hai to aapko bahut sare alag alag design or colors me mil jate hai lekin iPhone me esa bilkul bhi nahi hai isme to aapko same design or color milega, jisme jyada difference nahi milta hai,


5.#Launcher :
Agar aapke pas ek android smartphone hai to aap isme alag alag launcher ko install karke use kar sakte hai, or diffrent effect set kar sakte hai, Lekin iPhone aapko ek hi launcher use karne ko milta hai,


6.#Custom Rom:
Agar hamare par ek android phone hai to ham isme hamare phone ke layak koi custom rom ko install karke launching style ko change kar sakte hai, or iska menu , effect, or performance ko bhi change kar kar sakte hai , lekin friends iPhone me is tarah ka koi feature nahi milta hai, isliye hamki iPhone me ek hi system ka use karna padta hai,

Friends ab yaha par mai batane wala hu ki android se best hai iPhone, aap jyada sochiye mat yaha par dono phone ki kuchh achhi buri bate batyi gayi hai,
Android Ke Mukable iPhone Ke Fayde:

1.#Apps Are Unbeatable:
Agar aap ek iPhone ka use karte hai to aapko pata hoga ki ios system ke sabhi apps android ke mukable jyada achhe hi hote hai, uska look or style bhi best hota hai, or wahi app ko agar aap android me use karenge to itna best look nahi hoga.

2.#iPhone Apps Get Update First:
Yeh bat par koi sawal nahi kiya jaa sakta hi google playstore or apple app store par millions apps honge, lekin jab bhi koi apps ka new update launch hota hai to pehle iPhone user ke liye hi kiya jata hai or fir bad me android users iska fayada lete hai,

3.#Can Be Upgraded to Latest Version:
Android or iPhone dono apne smartphone ke liye har sal ek new version lauch karta hai, agar aap ek Android user hai or aapko new version ka use karna hai to aapko bazar me se new smartphone kharidna padega kyuki android ke old smartphone me new version supported nahi hota hai, lekin iPhone me esa kuch nahi hota hai, agar iphone me koi new update aata hai to aapko new phone nahi lena padega or aapke old phone me hi new version ka update aapko mil jayega,

4.#Camera Quality are Excellent:
Agar aap ek iPhone user hai to aap jante honge ki iska camera bahut hi badhiya hota hai,  yeh aapko ek DSLR jaisa photo click karke deta hai, android phone me chahe 16 megapixel ka camera kyu na ho lekin iPhone ka 12 megapixel ka camera hi best photo click karega, kyuki apple ki company specification par nahi quality par jyada dhyan deti hai, bas yahi reason hai ki ye mahenga hone ke bawzud bhi jyada sell kiya jata hai,

5.#More Smoothness & Less Hang:
Android phone ke mukable iPhone ka smartphone jyada fast hota hai, or bahu hi kam hang hote hai, yeh bhi ek wajah hai ki jyada log iPhone ki or attract ho rahe hai, android ka koi phone lo jisme 2 GB ram hai or iPhone ka ek smartphone lo jisme 1GB Ram hai fir bhi 2 gb ram wale se jyada iPhone ka 1 gb ke ram wala smartphone smooth chalega..

Last Words:
Doato yaha par maine android or ios (iPhone) me se konsa best rahega uske bare me bat ki, muje to isme iPhone hi best laga hai, aapko konsa phone best laga comment karke bataye, or jankari achhi lagi to share jarur kare, Thank you. Jyada jankari ke liye aate rahe hamare blog parpar.

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.