Dark, Deep and Surface web kya hai ? Iski puri jankari.


Internet to sabhi use karte hai, lekin kya aapko pata hai ki internet kitana bada hai or isme kya kya ho sakta hai, internet sirf social media tak hi nahi hai lekin aaj internet bahut hijyada aage badh chuka hai, chali jante hai ki Dark web, Deep Web and Surface Web kya hai ?

Hello friends bahut din bad aaj aapka fir se swagat hai mere blog hindi ka hero par, maine meri pichali post me bataya tha ki Android Vs IOS (IPhone) : konsa smartphone best hai ? . or aaj mai aapke liye ek or achhi jankari le kar aaya hu, jo aapko internet se related knowledge degi,

Dark, Deep and Surface web kya hai ? Iski puri jankari.


Aaj internet hamare roj ki life ka ek hissa hi ban gaya hai, ham daily bahut si bar internet ka use karte hai, or har bar kuch na kuchh new janane ko milta hai, aap search engine par jankari search karte hai or turant hi aapke samne iske related result bhi show ho jata hai, lekin kya aapko yeh pata bhi hai ki jo aap apni life me jitana bhi internet ka use karte hai wo total internet ka sirf 4% hi hai, jisko surface web kaha jata hai, isko aap, mai, or normal users use karte hai,



Aaj mai aapko internet ki duniya ke wo secret raj or jankari bata raha hu jiske bare me jankari rakhana aapke liye bahut jaruri hai, hamare Internet ko 3 category Dark web, Deep web and Surface web me bant kae samaja jaa sakta hai, to chaliye jante hai iske bareme detail me...



Surface web Kya hai puri jankari :


Surface web internet ki duniya ka dikhne wala chahera hota hai, jisko sabhi normal internet users use karte hai, isme aapko sirf vahi content milega jo internet par legal hoga. Surface web ko access karne ke liye koi special permission ki jarurat nahi hai, yaani ki aap sabhi jo hamara yeh post padh rahe hai, wo sab surface web me hi available hai, or aapko jankar herani hogi ki pure Internet par available content ka sirf 4% hi surface web me aata hai, ab aap deep web or dark web ke content ka andaja laga sakte hai, aap website ke usi stage tak jaa sakte hai jaha tak website ka Admin ya malik aapko jane ki permission deta hai, jaise ki aap website ke admin area ko access nahi kar sakte hai, ya us website ki private jankari ko nahi dekh sakte ho.



Deep Web kya hai puri jankari :


INTERNET par 90% hissa Deep web me aata hai, Deep web internet par un sabhi webpage ko refer karta hai jisko hamara koi bhi search engine khoj nahi sakta hai, is tarah ke content ko aap google me search karke nahi khoj sakte hai, kyuki is tarah ki website search engine ke result me indexed nahi hoti hai, lekin user isko access kar sakta hai agar uske pas website ya page link hai to, halaki deep web me aane wali website or jankari bahut hi sensitive or private hoti hai, in jankari me badi badi company ke data, security Agencies ke bahut hi secret data, Scientists ke banaye formula or jankari hoti hai, sabhi banks ka data, cloud storage, database, email listing, Government publications or bhi bahut sari jankari shamil hoti hai, matlab ki yeh ek internet ka safe or clean section hai, lekin isko sirf wahi access kar sakte hai jiske pas access karne ki permission hoti hai,



Dark Web kya hai puri jankari :


Ab ham bat karte hai internal par available us hisse ki jis par sabhi Illegally kam or Business kiya jata hai, aapne bahut bar suna hoga ki koi website ko hack karke uske sare data ko chura liya gaya, ya fir koi malware ya rensomware ne users ka data hack kar liya, is tarah ke hack kiye gaye database ka Business dark web par hi hota hai, or data ki price is aadhar par lagayi jaTi hai ki wo konsi country se churaya gaya hai, or isase us country ko kitana asar padega, agar koi famous ya bade users ka data churaya gaya hai to uski price bhi jyada hoti hai, yaha virtual money jaise ki Bitcoin se payment kiya jata hai, or iske alawa dark web me chil porn, Illegally hathiyar ( Arms) ki taskari ( Trafficking) ki jati hai, Cyber crime ki planning, jaise kam ko anjam diya jata hai, yaha par bhi access kaena aasan nahi hota hai, or agar access kar lete hai to aap bhi is khatarnak duniya ka ek par ban jayenge.



Aaj maine aapko bataya ki Deep web, dark web or surface web kya hai or isme kya kya hota hai, ab Next post me ham aapko Deep web or dark web ko kaise access karte hai uske bare me jankari denge, tab tak ke liye hamari or post padhate rahe, thank you....

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.