How to use whatsapp payment feature in hindi

Agar aapko whatsapp se paisa transfer karna hai to sabse pehle aapko whatsapp ke payment feature ka use karna padega jiske bare me ham aaj aapko detail se batane wale hai,


Whatsapp day by day apne users ko attract karne ke liye kuchh na kuchh new feature launch kar raha hai, or isliye hi aaj whatsapp itana popular app ban gaya hai,

whatsapp payment feature ka use kaise kare


Whatsapp ka ek or new feature hai whatsapp payment jisko ham digital payment system bhi keh sakte hai, iski help se ham apne whatsapp contacts ko paise bhej sakte hai ya recive kar sakte hai, jaise ham voice call or video call karte the bilkul waise hi,

Filhal yeh feature india me hi launch huva hai,  lekin kuchh hi time me sabhi countys me yeh feature available ho jayega,

Abhi kychh jo Android or IOS dono platform par payment transfer work kar raha hai, wo ek special method se hoga, jisko ham UPI (unique payment interface) kehte hai,

Jisme users ko apna bank account whatsapp ke UPI se connect karna hoga, or ek special pin generate karna hpga jo payment me jaruri hai,

Yaha par ham aapko batane wale hai ki kaise whatsapp se ham paise bhej sakte hai  ?

Whatsapp payment ko bank se Connect kare

Step 1:- 

sabse pehle apna whatsapp open kare or setting option me jaye, or  isme payment option ko select kare.

Step 2:-

Payment option me apne bank ki sabhi real  information add kare or submit kar dijiye.

Step 3:-

Agar aapko whatsapp ki terms and conditions manjur hai to unhe ek bar read kar lijiye or accept and continue ko select kare.

Step 4:-

Ab aapk apne bank account se linked mobile number ko add karna hai jiske ek code se aapke account ka verification ho jayega

Step 5:-

Aapke account ka verification ho jane ke bad aapke whatsapp me aapka bank account linked ho jayega, agar aap ek se jyada bank account ko use karte hai to aap sabhi ko is tarah step by step add kar sakte hai, whatsapp me aapke dwara add kiye gaye account number ke last 4 digit show honge.
Step 6:- Agar aapke koi ek hi bank me ek se jyada account hai to aapko verification ke time sabhi account ki list show hogi unmese aapko koi ek ko select karke aage badhana hoga,

Step 7:-

Jaise hi aapka bank account whatsapp me add ho jayega , turant hi us account ki all information whatsapp ke pas aa jayegi, or aapko bhi show hogi, or jo account aapke add kiya hai uska account number show hoga or ek message show hoga ki aapka account whatsapp ke sath link ho chuka hai,
Agar aap upar bataye gaye steps ko follow karenge to aapka bank account UPI system ke dwara whatsapp ke sath link ho jayega,

Jab aap apne whatsapp me payment system ko set kar lete ho tab aapko payment karne  ki permit di jayegi, iske bare me bhi niche step by step full jankari di gayi hai.

Whatsapp me paise kaise transfer kare ?

Step 1:-

Sabse pehle jisko aap paise bhejana chahate hai us user ka whatsapp me chat open kare.

Step 2:-

Agar aap ek android user hai to chat me attache buttn par click kare, or agar IPHONE user hai to plus button par click kare,

Step 3:-

Paise bhejane ke liye payment option ko select kare, or jitana paisa bhejana hai utana amount add kare. Or agar paise bhejne ke sath kuchh message send karna hai to wo bhi send kar sakte hai, aapne paise kyu or kis liye send kiya hai iske bare me kuchj likh sakte hai,

Step 4:-

Aapko jitana bhi paisa bhejana hai wo add karne ke bad payment ko verify karne ke liye aapke number par ek OTP send kiya jayega jisko us cose k enter karne ke bad hi aap aage badh sakte hai,

Step 5:-

Jab aap upar bataye gaye sabhi steps ko follow karenge to aapka payment bhej diya jayega, jaise hi transection pura ho jayega, aapke samne ek mesage shoe hoga ki aapka payment pura ho gaya hai, or samne wale ke pas pahuch gaya hai,

To dosto is post me maine bataya ki kaise ham apne whatsapp se apne friends ko paise bhej sakte hai, agar koi sawal hai to aap comment me puchh sakte hai, Thanks

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.