Whatsapp payment feature kya hai or isko kaise use kare ?



Hello dosto aaj kal india me digital india ka kuchh jyada hi craze chal raha hai or isko dhyan me rakhate huye aaj ham bhi ek digital feature ke bare me hi baat karenge, dosto jaisa ki aap sab jante hai ki whatsapp apne system ko har bar update karke kuchh new features ko hamare liye le ke aata hai , or is baar whatsapp hamare liye digital payment karne ka feature de raha hai, or wo UPI se chalne wala payment hoga, jo ki bahut hi achha payment method hai, or jyada secure bhi hai,

Whatsapp payment feature kya hai or isko kaise use kare ?


whatsapp payment feature ke bare me jankari

Ab ka time kuchh alag hi aane wala hai , pehle to aap whatsapp par sirf chatting karte the or media ko share karte the lekin ab iske sath sath aap apne friends ko paise bhi send kar sakte hai, or recive kar sakte hai,

Whatsapp payment ka feature filhal to sirf whatsapp beta user ke liye hi available hai lekin jald hi sabhi users ke liye available hoga,

Waise to payment karne ke liye ham aksar or platform ka use karte hai jaise ki google ka tez, paytm, phone pe.. jaise bahut se app ka use karna padta tha lekin ab aapke liye kuchh naya hi feature available hone wala hai, whatsapp apne feature me ek best UPI payment system ko test kar raha hai, jisme aap apne phone ke contact ko paise send kar sakte hai or recive kar sakte hai,

India me launch huva whatsapp ka payment feature


 India me filhal android or ios users ke liye yeh beta version me available hai , agar aapke phone me abhi tak whatsapp payment feature ka option nahi show ho raha hai to  aap ek bar aapke whatsapp ko update kar lijiye, whatsapp ke 2.18.46 ke beta version ke update me payment option shw ho raha hai , or update karne ke bad bhi show nahi ho raha hai to koi bat nahi aapke liye thode hi din me yeh suvidha available ho jayegi,

Whatsapp payment kaise kam karega ?

Dosto whatsapp apne feature me payment ka option de raha hai or yeh feature UPI base  par kam karega jaise or app bahar availabe hai waise hi yeh bhi work karega, isme UPI ka use kiya jayega jo ki bahut hi badhiya system hai, or secure bhi hai , or sath hi sath users ko use karne me bahut hi easy lagya hai, or isme bahut si banks ka payment kar sakte hai , agar aapki bank isme nahi hai to thoda wait kare aapki bank bhi isme index ki jayegi but iske liye thoda time lagta hai,

Whatsapp payment feature ko kaise use kare ?

Agar aap whatsapp payment ka use karna chahate hai to aapko first to aapka whatsapp update karna hoga jo ki beta tester me abhi whatsapp payment ka option available hai, iske bad aap apne whatsapp me manin number se register kare.

Register karne ke bad, aap setting ko open kare,
Yaha par aapko ek payment ka option milega usme click kare or click karte hi aapke samne ek bank ki list show hogi, isme se aapko jo bank hai usko select kar le, or iska account add karna hai,

Jaise hi aap apni bank apr click karenge to whatsapp automatic us bank ka aapke bare me jo data hi wo save karega or show bhi hoga,

Lekin aapko ek bat ka khas dhyan rakhana hai ki jo mobile number aapke bank account ke sath linked hai uska hi use karna hai, warna aapko ye sab option nahi show hoge or na hi aap whatsapp payment ka use kar sakenge,
Lekin iske pehle aapko payment karne ya recive karne ke liye UPI  account ki jarurat hogi , agar aapke pas upi account nahi hai to aap pehle UPI Aaccount ko creat kar sakte hai, iske liye aap online ya fir aapki bank ki help se aasani se UPI account creat kar sakenge,

UPI payment kya hai ?

UPI ek esa payment system hai jisme bahut hi easy tarike se kisi bhi desh me kisi ko bhi paise transfer kar sakte hai, yeh system user ke mobile number se uske account ki detail nikalata hai, isme har user ki ek alag uniqe id banata hai or iske jariye wo paise ka transfer kar sakte hai,


dosto yaha par maine aapko whatsapp payment feature ke bare me bataya , or iske kuchh fayade bhi bataye, agar aapko or koi sawal hai to comment karke bata sakte hai, ham aapke comment ka jald hi jawab denge,

Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.