How To Use Facebook Search Engine in hindi ?

     How To Use Facebook Search Engine in hindi, Facebook par Friends, groups, Events, News, place, hotels, Restaurants, video, music, shopping, histpry, mobile number, Stalkscan kaise search kare.

How To Use Facebook Search Engine in hindi ?


Facebook ek aisa social media platform hai jise aaj kal har ek internet user janta hai or usko use bhi karta hai, lekin ham Facebook par kya karte hai ? Ek dusare ki photos ko like and comment karte hai, or facebook ka use sirf entertainment ke liye hi karte hai.

Lekin dosto aaj ke is article me ham aapko batane wale hai ki Facebook search engine se aap kuchh bhi search kar sakte hai, lekin facebook search engine ko use karna baki search engine jaise google or yahoo se thoda different hai,


 How To Use Facebook Search Engine in hindi ?




#1 Facebook par friends, groups ya pages search kaise kare ?


Facebook ne kuchh filters diye hai, jaie education, work, or mutual friends jisase ham kuch bhi aasani se search kar sakte hai, agar aapko facebook par aapke koi friends ko search karna hai to aap iske liye koi particular keyword ka use kar sakte hai jaise ki 'My Friends' and  'Friends of Friends' etc..


# 2 Facebook par Hotels and Restaurants ko sea ch kaise kare ?


Facebook par Hotels or Restaurant ya koi or location  ko search karne ke liye ham apne friends ka bhi use kar sakte hai example : Hotels liked by DHAVAL. or is tarah se aapke friends ke dwara like kiye gaya hotels aapko badi hi aasani se mil jayenge.



#3 Facebook par video search kaise kare ?

Facebook par film, video ya trailers, music jaise keyword ka use kare. Iske alawa aap facebook par koi game bhi search lar sakte hai, jaise ki teen patti game online.


#4 Facebook par lates news search kaie kare ?

Agar aapko facebook par koi bhi topic ke latest news ki jankari chaiye to aap us keyword ke aage hastag laga kar search karenge to aapko us keyword ke related latest news sabse pehle dekhne ko milega. Or aap koi links ya news channel ke pages me bhi us topic ko search karke jankari le sakte hai,

#5 Facebook par shopping search kaise kare ?

Ham facebook search bar ka use karke koi bhi shopping ki item ko badi hi aasani se search kar sakte hai, koi bhi item search karke ne bad aap shop section bar par slide kare or result option par surfe kare or yaha par aasani se apne hisab se shopping kare.

#6 Facebook par history search kaise kare ?

Aap facebook par jo bhi search karte hai wo sab ki history dekh sakte hai iske liye aapko niche diye gaye link par jana hoga pr search karna hoga, sab kuchh histpry mil jayega ki aapne kya kya search kiya hai.
 click kare



#7 Facebook par  mobile number search kaise kare ?

Facebook par aap kisika bhi mobile number search kar sakte hai, lekin jo bhi use ka mobile number aap search kar rahe hai uska mobile number public hona chaiye facebook me,


#8 Facebook par  specific time zone me search kaise kare ?

Facebook par ham google ki tarah hi kuchh bhi search kar sakte hai,  jaie agar aapko last week me jo bhi event huva tha koi bhi kagah uski photos chahiye to aapko search karna hai ki " Example event" in your selected location.


#9 Facebook par job search kaise kare ?

LinkedIn or Google ki tarah aap Facebook par Jobs search kar sakte hai, search box me aapko Hiring in [Place] ya jobs near [Location]  type karke search karna hai, or aapki location  ke aas par available jobs show honge, or direct facebook se job ke liye apply karne ke liye apni detail add kare pr company ko send kar sakte hai,



#10 Facebook par Stalkscan ka use kare kare ?

Real me Stalkscan ek aisi website hai jaha se aap facebook profile ke publicly accessible information nikal sakte hai, yah website aapko apne friends ke bare me detail dikhane ke liye facebook ke graph ka search ka use karti hai,

Aap is website ka use karke lagbhag sab kuchh jankari le sakte hai, aapko bas aapke friends ke facebook profile ka url matlab ki link dalna hota hai, yeh site facebook ke graph ka use karta hai isliye aapko sirf wahi jankari milengi jo facebook par publicly hogi.



Dosto yaha par maine bataya ki How To Use Facebook Search Engine in hindi. Aapko jankari kaisi lagi comment me bataye or koi or trick hai facebook search engine ke bare me to wo bhi bataye, ham jald hi aapko jankari hamare post me update karenge.Thank you.


Post a Comment

Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.