Best launcher for android mobile hindi

Hello friends agar aap ek smartphone user hai or sath hi sath aap ek android user hai to aaj ki yeh post aapke liye hi hai, kyuki aaj mai aapke liye 8 ese best launcher  ke bare me jankari laya hu jo aapke smartphone ko good look wala bana dega,

Best launcher for android mobile hindi


Smartphone ki duniya me android operating system ek bahut popular system hai or yeh bahut dezi se popular ho rahi hai, yeh ek bahut hi effective system hai, kyoki ham isme bahut sare changes kar sakte hai, jaisa ki ham jante hai ki android operating system wale smartphone koi bhi launcher ke bina chal hi nahi sakta hai, isliye har new anroid smartphone me pehle se hi ek default launcher inbuilt diya jata hai, lekin agar aap apne smartphone ka lok change karna chahate ho to aapko third party se koi new launcher  install karna padega, agar aap soch rahe honge ki agar hamre smartphone me pehle se hi ek launcher diya gaya hai to ham third party se app install kyu kare to uske bare me bhi bata deta hu...

Third party launcher ka use kyu kare ?

Internet par ese bahut sare launhers hai jo aapke default launher ko new launcher ke sath replace karne ki permission mangate hai, lekin sawla yeh hai ki aalhir ham kyu iska use kare ?
To iska jawab hai ki in third party app se ham apne smartphone ki home screen or app drawer ko baut alag alag tarike se change kar sakte hai,
Waise to internet par bahut sare launcher available hai lekin aaj ham inmese kuchh khas launchers ke bare me bat karenge jo google playstpre par available hai, 

1- Nova launcher : 


Smple najaro se delha jaye to ye nova launcher sabse best launchers mese ek launcher hai or ye babut hi kam size ka hai or fast bhi hai, iski help se aap apne phone me dock bar or notification ko manage kar sakte ho,  icons ke size ko manage kar sakte hai,  or koi bhi apps ko shortcut bana sakte ho, iske prime version me or bhi achhe feature hai,  jo isko best app banata hai, 

2- Evie launcher:

Evie launcher bhi sabse fast launchers me se ek launcher hai, isme bahut sare home screen shortcut milte hai jisko use karke aap apne home screen ko manage kar sakte ho, iske universel search box se aap app ko search kar sakte hai,


3- Buzz launcher :

Buzz launcher ek bahut hi badhiya launcher hai isko maine khud use kiya hai or dekha bhi hai, yeh app bahut hi kam ka hai, isme bahut sare features or them bhi mil jata hai isko use karke phone ka look badal sakte ho,  isme el feature hota hai jisko Homepack buzz kehte hai, isme 700000+ se bhi jyada  home screens hai jo hajaro users dwara share kiya gaya hota hai, ism app locker or ram cleaner bhi milta hai jo bahut hi usefull hai,  or isme screen effect bhi hota hai jo  hamare phone me live wallpaper jaisa dikhata hai, 


4- Apex launcher :

Is launcher me baut sare thems milte hai jo bahut hi badhiya hai,  or wo bhi aap playstpre se download kar sakte hai, smartphone or tablet dono me yeh launcher bahut hi achhi tarah se support karta hai, is launcher se aap 9 tarah ke home screen ka use kar salte hai, iske pro version me aapko bahut sare gestures bhi milte hai, or isko use karke aap apne phone ki speed bhi increase kar sakte hai,  

5-EverythingMe :

Yeh launcher bhi bahut tarah se aapke liye best hai, isme home screen par baut sare shortcut se aap ek swipe se contect, menu, whatsapp, etc ko open kar sakte hai, iske sath isme ek Wewatch ka ek badhiya feature diya gaya hai, jisko aap news feed ka use kar sakte hai, yeh launcher aapki pasand ke hisab se khud hi automatic badalta rehta hai, jisase aapko hamesa best experience milta rahe,


6- Smart launcher3 :

Yeh fast or best launcher me artificial intelligence ka use kiya gaya hai, jiski help se aap Apps, contects, or gallery ko search kar sakte hai , isme smart turn off ka ek bahut badhiya feature diya gaya hai, jiski help se jab aap apna phone niche rakhate hai to aapke phpne ki screen automatic hi off ho jati hai, iska bhi pro version hai isme baut se new features bhi hai,

7- Microsoft launcher :

Is launcher ko pehle arrow launcher ke name se jana jata tha, yeh launcher me bing ke support se new wallpaper update kar sakte hai, iske home screen me google card ka feature hota hai, or isme ek resent feature bhi hai, jiski help se ham turant use kiye gaye apps or media file ko manage kar sakte hai, yeh app aapke phone ke duplicate number ko delete kartavhai ya merge karta hai,

8- ADW Launcher 2:

Yeh launcher bahut hi fast or bahut hi smart look wala hai, jisme bahut sare setting options milte hai, iske ek khas feature ki help se ham apne wallpaper ke interface ke color ko change lar sakte hai , isle alawa drive, icon, or transmission animation jaise bahut hi cool feature available hai,

Dosto maine yaha par aako android hone ke best launcher ke bare me bataya hai jo baut hi badhiya work karte hai, or use karne me bhi easy hai, aap isme se koi bhi launcher ko use karke hamko comment karke bata sakte hai ki wo launcher kaisa hai, or agar hamari jankari aapk achhi lagi hai to friends ke sath share jarur kare,Thank you.

1 Comments

  1. आपकी Website बहुत अच्छी है। में ने आपकी Website को bookmark करके रखा है। आपके article भी काफी Useful है। Thanks for sharing very useful knowledge

    ReplyDelete
Previous Post Next Post
અમારા WhatsApp ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
અમારા Telegram ગ્રૃપમાં જોઇન થવા અહિં ક્લિક કરો
Author bio image

About the Admin


DHAVAL RATHOD is a Professional WEBISTE DESIGNER. Here we will provide you only interesting content, which you will like very much.